
Abhishek Sharma Ind vs Pak match: India aur Pakistan ke beech T20 World Cup 2026 ka Group A match 15 February ko Colombo ke R Premadasa Stadium mein khela jaayega. Abhi tak dono teams T20 World Cup 2026 mein undefeated hain. Sunday ko hone wale is match mein Abhishek Sharma ka khelna pakka hai. Iski jaankari Indian team ke captain Suryakumar Yadav ne Press conference mein bataya.
IND vs PAK
Pakistan ke khilaaf match se pehle Indian fans ke liye khushkhabri hai. Captain Suryakumar Yadav ne confirm kar diya hai ki Abhishek Sharma Sunday ko Colombo mein arch-rivals Pakistan ke khilaaf khelte hue nazar aayenge.
Darasal, ye explosive batsman haal hi mein Namibia ke against hue match mein India ki Playing 11 ka hissa nahi ban paaye the. Unhe stomach infection ki wajah se hospital mein admit bhi hona pada tha. Halaanki, ab unhe discharge mil gaya hai.
Abhishek ki hogi wapsi
T20 World Cup ke high-voltage match se pehle Indian captain Suryakumar Yadav ne confirm kar diya hai ki is match mein Abhishek Sharma khelte hue dikhenge. Unhone kaha, “Agar aap sab chahte hain ki Abhishek Sharma khele, toh hum use khilayenge.”
Current tournament mein Abhishek ne ab tak sirf ek match khela hai. USA ke against wo apna khata bhi nahi khol paaye the. Wahin, Namibia ke against wo health issues ke kaaran team mein shaamil nahi the. Ab wo Pakistan ke against match mein wapsi karenge.
ये भी पढ़ें: SL vs OMA T20 World Cup: श्रीलंका की दूसरी सबसे बड़ी जीत, ओमान को 105 रन से हराया,
Pakistan ke against Abhishek Sharma ka performance
Abhishek ne last year Asia Cup mein Pakistan ke khilaaf do T20 matches mein 31 aur 74 runs banaye the, jabki final mein wo sirf 5 run par out hue the. Iske bawajood India ne dono matches jeete the.
Kam time mein hi Abhishek Sharma India ke ubharte hue T20 star ban gaye hain. 39 matches mein 1297 runs banate hue unhone do (2) centuries aur aath (8) half-centuries lagayi hain. Unka highest score 135 runs hai, jo unhone England ke khilaaf Wankhede Stadium mein banaya tha.
ये भी पढ़ें: India vs Namibia T20 World Cup 2026: भारत ने नामीबिया को 93 रनों से हराया
T20 World Cup mein Ind-Pak Head-to-Head Record
India aur Pakistan ki teams ek baar phir T20 World Cup mein aamne-saamne hongi. Is global tournament mein jab bhi in dono teams ka match hua hai, toh excitement kaafi high rehta hai. Is baar bhi kuch aisa hi nazara dekhne ki umeed hai. Tournament mein India ka Pakistan par dabdaba raha hai.
Ab tak T20 World Cup ki history mein India aur Pakistan ki teams 8 baar bhid chuki hain. Inme se 7 matches India ne jeete hain, jabki Pakistan ko sirf 1 baar jeet naseeb hui hai. Stats batate hain ki is tournament mein India ka palda Pakistan ke khilaaf bhaari raha hai.
Probable Playing XI:
India (Probable XI): Abhishek Sharma, Ishan Kishan, Tilak Varma, Suryakumar Yadav, Shivam Dube, Hardik Pandya, Rinku Singh, Axar Patel, Varun Chakravarthy, Jasprit Bumrah, Arshdeep Singh.
Pakistan (Probable XI): Saim Ayub, Sahibzada Farhan, Salman Ali Agha (Captain), Babar Azam, Usman Khan (WK), Shadab Khan, Mohammad Nawaz, Faheem Ashraf, Shaheen Afridi, Usman Tariq, Abrar Ahmed.
ये भी पढ़ें: IND vs PAK T20 World Cup 2026: कोलंबो में महामुकाबला, बाबर का बयान, अफरीदी की चाल
ये भी पढ़ें: India U19 vs Afghanistan U19 World Cup Semifinal Highlights: अफगानिस्तान को 7 विकेट से हराकर भारत 10वीं बार फाइनल में





